Search

whatsapp lock

Whats app Ko Password Kaise Lagaye
Whats app Ko Password Kaise Lagaye. Purane dinon mein hum apne vicharon ko SMS ke dwara likhkar bhejte the. Lekin aaj taknik ne aur zyada pragati kar li hai aur logon ko bina kisi asuvidha ke baaten share karne ke uddaeshya se takniki dwara Whatsapp seva ki shuruaat ki gayi hai jo aaj har mobile ka akarshak feature ban gaya hai. Lekin agar koi hamara mobile dekhe aur usme whats app chat padh le to hame bahot gussa ata he. Isliye whats app ko lock ya phir password lagana bahot jaruri he. To chaliye jante he Whats app Ko Password Kaise Lagaye Lock Kaise Karen


Whatsapp ka prachalan aaj mobile mein tezi se badh raha hai. Whatsapp woh application hai jiske dwara hum apne jaan pehchhan ke logon jinka mobile number humen pata hai aur jinke mobile mein bhi whatsapp suvidha hai unko apne vichar, photo, video kuch bhi bhej sakte hain. Is prakar whtasapp ne aapsi sampark bahut aasan kar diya hai aur yahi iski lokpriyta ka karan hai.
Whats app Ko Password Kaise Lagaye. Pehla app Whatsapp lock naam se hai. Jo apke Whatsapp ko lock karne ke liye achcha app hai. Aur aapki samast gopniya jaankari ko aapke dwara diye gaye password se lock kar deta hai. Ismay appko 4 ankon ki sankhya password banakar deni hoti hai. Is app mein yeh khasiyat hai ki yeh app us vyakti ka photo le leta hai jo aapke whatsapp ko dekhne ke liye galat password dalta hai. Is prakar aapke peeche se apke whatsapp ko password dalkar kholne ki koshish karne wale vyakti ko aap pehchaan sakte hain. Janiye
Whatsapp Lock ko kaise istemaal karen
Whats app Ko Password Kaise Lagaye. Sabse pehle apko Whatsapp Lock application ko google mein search karen aur search se aaye website dwara apne mobile mein Whatsapp Lock ko install karen.
Iske baad jab Whatsapp Lock ka installation pura ho jaayega to aap apni mobile screen par dekhenge ki likha aayega “Enter Your PIN(Only 4 digits Pin)”. Iska matalab hai ki aap koi 4 ankon wali sankhya type karen.
Ab sankhya daalne ke baad aap dekhenge ki Whatsapp Lock dwara ON aur Off button dikhaye jaayenge, jise apko select karke batana hia ki abhi apko Whatsapp mein Lock rakhna hai ya nahin.
Iskay saath hi apko screen par Autolock time setting dikhai degi. Iska matlab hai ki woh samay jab aapke mobile mein apne aap hi Whatsapp kitni der mein lock ho jaaye. Aap iskay liya 15 minute ka samay le sakte hai.
Iskay baad aap sabse ant mein Whatsapp Lock ko ON karne ke liye ON Ka button chunen.
Lock for whatsapp ko kaise karen istemaal
Iskay liye sabse pehle aap Lock for whatsapp application ko apne mobile mein install kijiye. Yeh apko google mein search kar ya play store mein mil jaayega. Isay install kar le.
Installation hone ke baad, yeh apko apke mobile ki screen par password ke kai sare pattern dikhayega aur apko us pattern ka chunav karna hai jise aap password banana chahte hain.
Iskay baad yeh apko kuch agrrement ki sharten dikhayega jinhe aapko box mein right ka sign lagakar sweekar karna hai. Isaky baad apka whatsapp lock dwara protected ho jaayega.
Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx