Search

Blogger Images Par Pinterest Pin It Button Kaise Lagaye

Blogger Images Par Pinterest Pin It Button Kaise Lagaye
Images aapke blog ki ranking bhadane ke liye bohot important hai. Pinterest ek Social Network hai jaha par log apni pasand ki images link ke sath daal sakte hai , Jaise hum Facebook par share kane ke liye like ya share par click karte hai – theek usi tarha se pinterest par Pin It ka button hota hai.
Pinterest ka lokpriye hone ka ek karan ye bhi hai ki logo ko likhi hui cheezo se jada Images share karna jada pasand hai. Pinterest ka use hum apne blog ki images share karne ke liye bhi use kar sakte hai.
Hum apne blog ki har image ke upar ke pinterest button laga sakte hai, jise click karte hi visitor aapke blog ki image ko apne pinterest account me add kar lega aur aapki post images ke sath pinterest par share ho jayegi , jisse aapke blog par kafi traffic aa sakta hai. Jab bhi koi vyakti pinterest par share ki hui aapki photo par click karega to wo aapke blog par aa jayega.
Pinterest buttons ko add karne se aapke blog par kafi traffic aa sakta hai . Is article me mai aapko apne blog ki har image par pinterest button lagana sikhauga.
Pin It Button ka Code Banaye
Button lagane ke liye hume sabse pehle uska code cahiye. Code paane ke liye neeche diye gaye steps follow kare
Step: https://business.pinterest.com/en/widget-builder

website par jaye. Yaha se hum apne blog ke liye button bana sakte hai.



Step 2: Left sidebar me se Pin It button par click kare. Aur phir
Image Hover (Image hover ka matlab, jab hum image par mouse lijaege tab button dikega).
Step 3: Ab uppar diye gae
options me se apne button ke jaisa cahe vaisa design kare.


Neeche diya gaya code copy karle.
Pin code kaise lagaye:
Step 1: Code lagane ke liye apne
layout > Add a Gadget par click
Step 2: HTML / JavaScript gadget select kare



Step 3: Copy kiya hua code
content me paste karde. Title ko khali chodde




Ab aap dekh sakte hai, ki hamare blog ki sabhi iamges par Pinterest button lag chuka hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx