Search

world Internet users check traffic

Agar aap apni knowledge bhadani cahte hai, ya aap abhi bhi purani duniya me jee rahe hai aur aapko Internet ki Vishalta ka andaza nahi hai, ya phir aap apne dosto ko kuch mazedar Facts batakar khush karna cahte hai aur aisa bhi ho sakta hai ki aapka Interview hai aur aap interview me kuch Samazh daar baate karna cahte ho ?
To hamare pass ek website hai jo aapko upar likhe sabhi cheeze de sakti hai. Agar aapne is website ko dhyaan se padha to aapko log Intelligent maanege, aapki respect karege aur aapke career me aage nikalne ke chances bhad jaege. Lekin agar aapko is website ke baare me naa pata hua to aap samanye bankar hi reh jaege.
Acha bohot ho gaya
Is website ka naam hai
www.internetlivestats.com

Ye website khas isliye hai kyoki ispar aap Internet ke bhadte ankado par najar rakh sakte hai.
Stats ka matlab hota hai ankade




Is page par aap sabhi badi website par horahi activites dekh sakte hai. Aap dekh sakte hai ki:



Internet se kitne log jude hai
Kitne Emails jaa rahe hai
Har roz kitni nayi website ban rahi hai.
Youtube ke daily views dekh kar to mai bhi heraan ho gaya tha




Is page par aap duniya me kitne internet users hai ye dekh sakte hai, aur in users ki growth kitni tezi se ho rahi hai.
Aaj ke samye me duniya ki lagbhag 40% population Internet ka use karti hai.


Kya aapko pata hai ki India Internet users ki ginti mai China aur USA ke baad 3rd number par ata hai.
Aur dunia ki top 20 countries me se India ki population ke hisaab se sirf 19% log hi Internet chalate hai. To agar hisaab lagaye to abhi bhi India ki 100 crore log Internet nahi chalate.
Lekin Internet user ki growth me India Number 1 hai. To iska matlab ye hua ki India me aane waale samye mai Internet ka bohot kaam badhega.
Agar aap abhi se Internet sambandhit koi karye karne lag jaate ho to Future me aap Crorepati ban sakte hai.
Aisi hi aur mahatvapurn jaankari ke liye hamara
Facebook Group join kare.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx