Search

Computer / Laptop User Ke Kaam Aa Sakte Hai Ye 10 Free Softwares

Market me bahut sare high-tech software
available hai but jaruri nahi hai ki wo sabhi har ekuser ke kaam ke ho. Aapke computer / laptop system me jitne kam software honge wo utna hi fast run karega sath hi kam software use karne se hanging or slow work karne ki problem bhi nahi hoti hai. Is post me mai aapko jin 10 desktop softwares ke bare me bta raha hu unse aap bahut sare kaam kar sakenge.

nternet par aapko desktop ke liye bahut sare software mil jayenge but mai yaha aapko un softwares ke bare me bta raha hu jo har user ke kaam aate hai or jinki lagbhag daily work me jarurat padti hai.
Free Software Jo Har Computer / Laptop User Ke Kaam Aa Sakte Hai1. Free download manager:Agar aap downloading karne ke bahut jyada shaukin hai to ye software aapke liye hi hai. Actually kei bar downloading karte time bich me internet connection slow ho jata hai ya cut ho jata hai jis wajah se koi bhi software full download nahi ho pata hai or internet connectionerror show hota hai. Isse user ko wo software fir se download karna hota hai. So is software ki help se aapki ye samsya khatm ho jayegi kyuki ye kisi bhi downloading ko resume or pause karne ka option deta hai.2. Youtube Downloader HD:Agar aapko video dekhna ka bahut shok hai to aap aksar apne computer ya laptop PC me youtube par video dekhna pasand karte hoge. Youtube ek aysi duniya hai jis par aapko lagbhaghar tarah ke video mil jate hai. Ye video 3gp, mp4, mpeg, HD me hote hai or ab to isme 4k quality bhi aa gayi hai. Ayse me agar aapko internet connection slow hai to bar bar video buffering problem hogi jisse video dekhne ka maza kharab ho jata hai. Isiliye aap youtube downloader HD softwares install kare. Isse aap kisi bhi video ko online dekhne ke sath downloadbhi kar sakte ho.3. Adobe Reader:Kisi bhi desktop ke liye adobe reader software bahut jaruri hota hai. Lagbhag 90% laptop / computer me ye adobe reader mil jayega. Kyuki jab bhi user online ya offline koi PDF file ko openkarta hai to uske liye adobe reader ki jarurat hoti hai. Iske alawa E-book ya dusri e-files ke liye bhi iski jarurat padti hai.4. Read It Later:Ye software un users ke liye hai jo online internetpar articles, news, comics padhna pasand karte hai. Wo read it later ki help se kisi bhi page ko save kar sakte hai or use bad me internet connection ke bina bhi offline un pages ko padh sakte hai. Iski important bat ue desktop ke sath sath smartphone me bhi application ki tarah work karta hai.5. Eraser:Kisi bhi laptop and computer me anti virus ka hona bahut jaruri hai. Jo aapke PC ko protect karta hai or jisse computer ki security bani rahti hai. Eraser bhi ek aysa hi software hai jo anti virus ki tarah kaam karta hai. Iski help se aap computer me mojood extra and unwanted files ko delete kar sakte hai. Sath hi agar aap apna system kisi or ko use karne ke liye kisi or ko de rahe hai  to eraser bahut kaam ka sabit hoga.6. IObit Toolbox:IObit toolbox software user ko 20 ayse tool offer karta hai jinki madad se aap apne system me mojud koi bhi problem ko solve kar sakte hai. Iski madad se aap kabhi bhi kahi bhi apne PC ko repair kar sakte ho. Ye software us time bahut kaam aata hai jab computer ke kuch software work karna band kar dete hai.7. Connectify:Agar aap pane computer laptop ko Wi Fi hotspot ki tarah use karna chahate hai to ye software aapke liye bahut kaam ka hai. Iski help se aap apne PC ko aasani se wi-fi hotspot me badal sakte ho. Ye other device ke liye internet connection provide karta hai.8. LogMeIn Hamachi:Is software ki help se aap apna VPS (vartual private network) generate kar sakte ho. I mean isse aapka internet connection humesha secure rahega or us par koi virus ya hackers attack nahi kar sakega. Internet connection ke sath hi is software se aapka computer bhi safe rahega.9. Virtual CloneDrive:Is software ki madad se user apne computer me vartual CDs and DVDs ko hard disk drive me copy kar sakta hai. Yani ki aap kisi bhi CD ka data apne pc ki hard drive me copy kar save kar sakte ho. Iska sabse badiya fayda ye hai ki iski wajah se aap optical clonedrive ko avoid kar sakte hai.10. Battcursor:Ye softaware mostly laptop ke liye hai jo aapke laptop ki battery time ko increase karne ke kaam aata hai. Isse jab aap laptop me koi free software use kar rahe hote ho to ye use

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx