Search

Blogger Blog Mai Google + Badge/Widget Kaise Lagaye

Google + apko aapki profile ke badge deta hai jo aap apni website par laga sakte hai. Apni website par Google+ badge lagana bohot hi kargar tarika hai apni website par following bhadane ka. Log aapko apne Google + circle me daal sakte hai, jisse ki aapki sabhi posts unko apni profile feed me dikhegi.
Is article me mai aapko apne Blogger blog par Google + badge lagana sikhauga.
Apne Blogger me Google plus badge lagaye:
Step 1. Apne Blogger account me sign-in kare. Aur Layout > Add new Gadget par click kare.

Step 2: Gadget list me se Google+ Badge Add kare

Step 3: Ab apne Badge ki setting kare
Upar aapko dikhta rahega ki setting ke baad aapka badge kaisa lagega.
1. Title daale
2. Badge kiska hai. Page yar personal profile
3. Google+ ID select kare
4. Size automatic rakhne se width apne aap adjust hojaegi
5. Layout apke badge ka design change karne ke liye
6. Color theme: hume light theme select ki hai. Agar aapka blog dark theme ka hai to aap dark select kare
7. Cover Photo: Agar aapki profile me cover photo hai to wo yaha display hogi
8. Tagline: Agar aapki profile ki tag line hai to wo yaha display hogi
9. Save . Sabhi options set karne ke baad Save par click kare.
Ab aapke blogger blog me Google+ badge lag chuka hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx