Search

UC Union ki poori Jankari

Mobile site se paise kamana, website se paise kamane ki tulna me zaada asaan hai, kyuki mobile Ad-network se approval milna, web Ad-network se approval milne se zaada asaan hai. Yadi aapki mobile site par accha traffic hai, toh aap sirf CPM rate se hi, bhut paisa kama sakte ho.
Uc-Browser duniya bhar ke behtarin mobile browser me se ek hai. Uc-Browser Union ne ab mobile site owners ko bhi unki site ke CPM rate ko dekhte hue paisa kamane ke ek asaan tarika de diya hai.
UC Union kya hai aur ye kaise kaam karta hai :
UC-Browser ek internet use karne ke liye mobile browser hai. Uc-Browser company ne apna pehle browser sirf mobile devices ke liye hi banaya tha, jo PC me kaam nhi karta tha. Uc-Browser aaj ke samaye me poori duniya me famous hai khass tor se India aur china me. Ise China ki company ne banaya hai, jiska attractive feature, aapko fast internet browsing experience ke sath high speed downloading ki facility bhi dena hai.
UC Union ek advance affiliate program hai, jo Alibaba Group dwara banaya gaya hai, ye aapko apki site par dikhaye jaane wale ads aur apps ke installation par aapko paise deta hai. Ye CPM par kaam karta hai aur CPA par kaam karta hai.
CPM kya hai ?
CPM ( Cost Per Thousand Impression ) Uc-Browser ne apne ads ke liye ek minimum price rakha hua hai. Yadi aapni moble site visitors ko thousand time dikhti hai, uske baad hi aapko CPM dwara minimum price milta hai.
UC Union ke liye kaise apply kare


Sabse pehle jaise hum baaki cheeze search karte hai, thik waise Google Search Engine me
UC Union search karte hai. Search karne ke baad jo pehli site open hoti hai, us par click kar ke site ko open karte hai.


Ab aapke samne UC Union ka
Home page open ho gaya hai, jisme aapko left side me bane
sign up button par click karna hota hai.


Sign up par click karne ke baad aapke samne ek form khul jayga, jisko aapne bilkul sahi sahi fill karna hai.
Username : Yaha aap apna username fill karte hai ( ye kuch bhi ho sakta hai )
Password : Yaha aap apna password fill karte hai. jisse aapka UC Union account open hoga. )
Confirm Password : Password ko dobara fill kijiye.
Country : Yaha aap apne country ka naam daal sakte hai.
Online Contact : Is column me aap apna online contact fill kar sakte hai ( jo option diye hue hai unme se )
Email : Is field me aapna Email Address daaliye.
Contact No : Apna mobile no daaliye.
In sab ko fill karne ke baad neeche diye gaye Terms and Condition ke samne box me right karne ke baad submit ke button par click kijiye.



Next step me aap Management par click karte hai. Click karne ke sath hi aap dekhte hai ki aapke samne ek page khul jaata hai, is page me aapko Submit Application/Site par click karna hota hai.


Submit Application/Site par click karne ke baad aapke samne ek form bana hua aa jayga, jis par aapko apni site ki information fill karni hai.
Site Name : Site ka naam
URL : Site ka URL
Category : Maine others select ki hai aap is drop down ko open karke different Category chun sakte hai.
In sab field ko fill karne ke baad aap neeche diye gaye
continue button ko click kar sakte hai.





Next step me aapko Add Pub par click karna hoga,



Add Pub par click karne ke baad aapke samne ek form khul jayga, jisko aapne bilkul sahi sahi fill karna hai.
Cooperation : Isme aap Cash ke samne tick kar sakte hai.
Type : Jis bhi Type ke ads aap apni site par lagana chate hai aap unke samne click kar sakte hai.
Choose Site : Kis site par ad lagana chahte hai, wo fill kijiye
Ad Space Name : Ad ka naam.
Ad URL : Ad Space URL ka naam.
Integration Method : Ad method select kijiye.
Ad format : Aapko ads ki method kya chahiye, wo select kijiye.
Form poori tarah fill karne ke baad Continue par click kar sakte hai.
Ye sab formality fill karne ke baad UC- Union aapko email ke jariye 3 din ke ander bata deta hai ki aapki application approve hui hai ye nhi.
Aapko humara ye article kaise laga aap humne neeche diye gaye comment box me likh kar bata sakte hai. Yadi aapke koi sujaav ya samsya hai, toh bhi aap hume zaroor bataye, jisse ki hum apne aane wale articles me quality la sake.
Thank you.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx