Search

Ek mobile se Dusre mobile me Internet Data Share or Transfer kaise kare

Aaj kal sabhi Mobile service ne Internet data transfer or share karne suwidha di hai. Mai aaj apko batunga kaise Ek mob se Dusre mob me Internet data mb share karte hai. Waise ye trick tabhi kam karega jab operators same ho, jaise ki Airtel to Airtel or Idea to Idea,Aircel

Mai apko Code batunga jisye aap apne family or friends ko apne mobile se Internet data share kar sakte hai.
Ek SIM se dusre Sim me Internet Data kaise Transfer kar sakte hai
Balance Transfer ki tarah aap apne family or friends se Internet data bhi transfer kar sakte hai. Apko sirf kuch USSD codes yad rakhna hai. Ab aap jane Airtel,Idea or Aircel me Internet Data Kaise Transfer karte hai.
Airtel To Airtel Internet Data Share kare
Ab aap apne family or friends se airtel to airtel Internet data share kar sakte hai. Apko sabse pahle Airtel Family Share pe Register karna hoga. Registration bilkul free hai.  step 1. www.airtel.in/family yaha per jaye
2. Ab apna airtel Mobile number type kare.

3. Go button pe click, phir apke number pe OTP password ayega. OTP password ko verify kare.
4. Ab apka data share activate ho chuka hai. Ab aap apne family members ko data share kar sakte hai.
5. Ab aap ek family me 5 member ko add kar sakte. jinke pas Airtel number hoga unhe add kare
6. Ab agar koi bhi apke family me Internet pack plan use karega toh usye sabhi member se share kar sakte hai.
Note : Aap sirf 3G/4G data share kar sakte, 2G data share karna allow nahi hai.
10 MB data Transfer kaise kare
Dial kare *141*712*11*Other AirTel Number#
Example- *141*712*11*9876543210#
Ab call button pe click kare, or instructions ke hisab se sabhi information de. 10 mb Internet data share karne ke liye apko Rs. 1 charges lagega. 1 day me sirf ek bar hi 1 number pe transcation kar sakte hai.
25 MB Internet Data Share karne ke liye
Dial Kare *141*712*9*Other AirTel Number#
Example – *141*712*9*9876543210#
Ab calk button pe click kare. Ab instructions ko follow kare.
25 Mb data transfer karne ke liy Rs. 1 charges per transaction hai. Ek din ek number pe sirf ek bar hi data transfer kar sakte hai.
60 Mb Data Transfer kare
Dial kare *141*712*4*Other AirTel Number#
Example – *141*712*9*9876543210#
Ab call button pe click kare. Or instructions ko follow kare.
Ek din me ek number pe sirf ek bar hi 60 Mb data transfer kar sakte hai. Ek transaction ke 1 rs. Hai

Idea to Idea Transfer Internet Data
Idea se Idea internet data share karne ke liye apko Idea Easy Share pe Register karna hoga.
1. sabse pehle idea/EasyShare 
2. Agar prepaid customers hai toh Prepaid Easy share pe click kare, agar postpaid customer hai postpaid Easy share pe click
3. Ab ek new page open hoga, jisme apko apna state select karna hai.
4. Data service share enable karne ke liye apko koi ek plan use karna hoga
5. Ab apne friend se talktime, SMS pack and
Internet Mb se share kar sakte hai.
6. Idea 2G/3G data share karne ke liye apko sirf *121*121# dial karna hai ya phir login page pe jana hoga.
7. Ab aap kitna Internet data share karna chahte hai wo select kare. Aap sirf 100, 150, 150 MB data share kar sakte hai,apko jiski liye aapko 1.2.3. Rs charge 
7. Ab aap kitna Internet data share karna chahte hai wo select kare. Aap sirf 100, 150, 150 MB data share kar sakte hai,apko jiske liye Rs. 1,2,3 charges lagega. 
8. Same method use karke aap Talktime, Sms bhi share kar sakte hai.
Aircel To Aircel 2G/3G Internet Data Kaise Share Kare
1. Aircel Sim me Data Share Service Activate karne ke liye *121*776# dial kare.Apke screen pe ek welcome message ayega. 
2. Aircel Sim card Data pack service me apne family or friend ka aircek number add kare.Phir OK button pe click kare.
3. Ab screen ke instructions ko follow kare.Aircel se aircel Internet data transfer ho jayega.
Reliance To Reliance Internet Data Kaise Share/Transfer kare
Reliance New Potpaid plan ke hisab se aap Reliance to reliance Internet Data, SMS, talktime share kar sakte hai. Ye reliance data plan sirf Reliance Postpaid customer ke liye hai. Reliance ke 3G/CDMA/ GSM customer use kar sakte hai.
Is plan se aap maximum 9 users ko Internet data, Talktime, SMS share kar sakte hai. Reliance Share ka Monthly Rental plan Rs. 1497 ka hai. Jisme apko 3000 min Local+STD talktime, 300 Local + STD SMS aur 3GB internet data milega.
1 member se connect hone ke liye rs 499 extraa charges hai. Jisme apko additional benifit bhi ilega jaise ki 1000 mins, 1GB data, 1000 SMS bhi.
Vodafone to Voda Data Share Kaise kare
Vodafone me data transfer karne ka features sirf Postapid Customer Use kar sakte hai. Vodafone Prepaid SIM Internet data transfer nahi kiya ja sakta hai. Postpaid Customers ko Internet data, Call, SMS share karne ke liye monthly Rs. 99 per month ka recharge karna hoga. 

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 Comments:

Comments
8 June 2020 at 18:45 delete


If you ever want to change or up your university grades contact cybergolden hacker he'll get it done and show a proof of work done before payment. He's efficient, reliable and affordable. He can also perform all sorts of hacks including text, whatsapp, password decrypt,hack any mobile phone, Escape Bancruptcy, Delete Criminal Records and the rest

Email: cybergoldenhacker at gmail dot com


Reply
avatar

Thnx