Search

VLC media Player me YouTube Video Kaise Play kare

VLC media Player me kisi format ka Video play kiya ja sakta hai. Isi wajah se VLC media player sabse popular Media player hai. Lekin kya apko pata hai hum VLC media player me Online YouTube ke video bhi dekh sakte hai.
Gyanmehack.blogspot.in  apko ek aisa method batane ja raha hai jisye aap youtube ke videos ko world ke sabse popular video player VLC me play kar sakte hai.
Aap VLC me YouTube ke sirf ek video nahi balki ek sath bahut se video bhi dekh sakte hai. Youtube playlist bana sakte hai.Mai apko YouTube ke online video ko VLC media player me dekhne ke kuch aur advantage bhi batata hu:
VLC media player me Online YouTube video dekhne se apko ads nahi dikhenge. Aap bina disturbance ke video dekh sakte hai.
Loop Button ka use karke aap video ko ek time se adhi dekh sakte hai.
Video ke speed ko ghata or badha sakte hai.
Aap kisi video ka snapshot ya screenshot bhi le sakte hai.
Youtube Video ko VLC media player me kaise dekhe
Step by step jane kaise youtube ke video ko hum VLC me play kar sakte hai, ye bahit hi simple method hai, apko bas mere diye gaye method ko follow karna hai.
Step 1
Sabse Pahle VLC media player open kare, Phir File > Open Network me jaye. Aap CTRL+N press karke bhi Network URL open kar sakte hai.
Step 2
Aap koi bhi browser me www.youtube.com open kare.Aap Jis video ko play karna chahte hai usye search kare. Or phir uske URL ko copy kare.Ab VLC media player me wapas jake Network URL box me link ko paste karde. Ab play pe click kare.
Step 3
Congratulations!! ab aap Youtube video ko VLC player me dekh rahe hai.
Aap Youtube video ko VLC me play karna sikh gaye hai, Ab mai apko batunga youtube playlist kaise dekhte hai :
Step 1
VLC media Player me YouTube playlist dekhne ke liye apko addon use karna hoga.
Ab aap VLC addon pe clicl kare or ab ek page open hoga jaha apko VLC playlist parser ko download karna hai. Apke pas VLC ka latest version hona chahye.
Step 2
Addon ko download karne ke baad copy kare, phir C:Program FilesVideoLANVLCluaplaylist paste karde.
Step 3
Ab VLC media player open kare phir CTRL+N press kare. Ab youtube playlist ka URL paste karde, phir Play pe clock kare. Congrats apka youtube playlist tayar hai.
Agar YouTube fan hai toh apko GYANBOOK ka ye article bahut acha laga hoga. Gyan share karne se badhta hai islye please is article ko share kare.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx