Search

Aadhar Card Online Correction, Update, Change Kaise Kare ssup.uidai.gov.in

Aadhar card Indian country ke logo ke liye iD proof ka kaam karta hai. Aadhar 12 digit ka unique identification number hai. Ye number sabhi aadhar card pe and uske user ka alag alag hota hai.
Ye apke Indian residence ka proof hota hai. Unique Identification Authority ek government oragnisation hai jo Commision of India ke under work karta hai. Aadhar card issue karte time UIDAI apse name, age, fathers name, residence address proof, electricity bill, telephone bill, voter id card etc mangta hai.
Aadhar card ka use bahut jagah hai, jaise Bank account open, driving licence, Voter id issue etc karne ke liye. Aaj toh LPG subcidi ke liye bhi Aadhar card bahut jaruri ho gaya hai. Lekin aisa bahut logo ke sath hua hai ki jab wo Aadhar card banwate hai toh usme kuch problems aa jati hai jaise Age, name, address, Images etc me. Islye mai apko aadhar card correction kaise karte hai iske bare me batane ja raha hu. Hum aadhar card ko online correction and update kar sakte hai.

Aadhar Card Online Change karne Ke Steps Kya hai
Apne Aadhar Card number me login kare.
Apne documents upload kare, jise apko sahi karna hai.
BPO service select kare, Phir submit pe click kare.
Jo information apne submit kiya hai wo turant update nahi hota hai. Isye kuch verification process ke baad update kiya jata hai.
Aadhar Card details ko correction karne ke liye 2 tarike hai, Online and Offline. inme se kisi bhi tarike se aap apne aadhar card ko correct kar sakte hai. Commonly bahut se log date of birth me galti karte hai.
Online Aadhar Card Kaise Correction Kare
Date Of Birth Correction
date of birth update ya correct karne ke liye apko PAN card, birth certificate, voter id card, ration card, passport upload karna hoga.
Address Change
Address Change karne ke liye Voter ID, driving license, passport, ration card, bank account statement, telephone bills etc upload kare.
Change Mobile Number
Mobile number change karne ke liye mobile number ko OTP ke through verified karna hoga, Phir aap mobile number update kar sakte hai.
Update Surname
Passport, Driving License, Voter iD upload karke Surname change kar sakte hai.
Aadhar Card ko Online Update karne ke steps:
♥ Web browser mehttps://ssup.uidai.gov.in/web/guest/update website open


♥ Aadhar card pe likha hua 12 digit ka Aadhar Number enter kare.
♥ Aadhar number submission karne pe apke mobile number OTP code receive hoga.
♥ OTP Enter karne ke baad Name, Gender, date of Birth, Address, Mobile number ka list open hoga.
♥ Name, date of birth, address etc ko update kare aur Next pe click kare.
♥ Required documents upload kare, and area ke BPO service check kare.
♥ UID status ko baad me check karne ke liye, Update Request number kisi page pe note karle.
Aadhaar Card Offline Kaise Update Kare:
Agar aap Online apne Aadhaar card ko update or correction nahi kar sakte hai toh aap postal service ke through bhi Aadhaar card update kar sakte hai. Lekin pahle apko Aadhaar card ke official website se Application form download karna hoga. Phir fill up karke post service ke through send karna hoga.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx