Search

(2 Methods) Windows PC Me Connected Wifi Ka Password Kaise Pata Kare

Kya aap apne PC and Laptop ka password bhul gaye hai? Pc se connected wifi k password janne ke bahut se reasons ho sakte hai
. Jaise apse apke friend or guest ne wifi password pucha aur apko yaad nahi hai, ya phir agar aap kisi coffee shop and cyber cafe me hai aur apko connected wifi ka password pata nahi hai. Kisi PC ke password janne ka bahut reason ho sakta hai. Reason kuch bhi hai lekin ye article read karke aap kisi bhi PC me connected wifi ka password check kar sakte hai. Main apko 2 method batunga jise aap Laptop ya Computer me connected wifi ka password check kar sakte hai.
1st Method: Control Panel Se Windows PC me Connected Wifi Ka Password Check Kare
Step by step jane kaise laptop me connected wifi ka password jaan sakte hai.
Step 1 . Apne Windows Computer and laptop ke Control Panel (Start > Control panel) me jaye. Phir Network and Sharing Centre pe click kare. Lastly Change Adapter Setting pe click kare.
Aap chahe toh Windows+R press karke ncpa.cpl type kar sakte hai, phir
Enter press karke direct Network Sharing Centre tab me enter kar sakte hai.
Step 2 . PC me jis network se wifi connected hai uspe Left click kare. Kuch option show hoga, phir Status pe click kare
Step 3 . Ek window open open hoga, usme
Wireless Properties pe click kare, phir
Security Tab me jaye.
Step 4 . Show Characters pe tick kare, PC me connected wifi router ka password show ho jayega.
Upar ke method ka sirf windows 8.1 me valid hai, Windows ke kuch version me Step 4 ke option nahi hote hai. Agar apke PC me bhi Step 3 ke baad ka process nahi ho raha hai, ya phir password show nahi ho raha hai toh agye ki step use kare.
Step 5 . PC me Nirsoft software Download and install kare. Ye windows me saved sabhi password ko scan karta hai.
Step 6 . WirelessKeyView ko open kare and phir WirelessKeyView ko run kare.
Step 7 . Apke computer se connected sabhi network show hoga. Router ya phir wifi option ko On kare, apke pc me connected router ka password show ho jayega.
2. Method: Router Me Login Karke Kaise Connected Wifi Ka Password Dekhe
Step 1 . Sabse pahle apne browser ke address bar me 192.168.1.1 open kare.
Step 2. Phir apse User iD and login password manga jayega. Wi-Fi router ka login and password enter kare.

Default iD- admin
Password- admin
Step 3 . Ek new page ope hoga, Wireless >> Wireless Security pe click kare.
PC Mea Connected WIFI Ka Password Dekhe
Step 4 . Congrats aapko Wifi router ka password Wireless Password box mil jayega.
Friends, upar mene 2 method bataya hai jise koi bhi PC me connected wifi router connection ka password easy way me dekh sakta hai. Agar aap bhi apne router ka password bhul gaye hai toh upar ke method ko use kare. Ye sabse easy and simple method hai wifi router ka password janne ka. Agar apko koi bhi problem hai toh comment box me puche.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx