Search

infolinks paise kaise kamaye

Agar aapne koi blog banaya hai to uske main do karan ho sakte hai, Aapne apne sock ke liye banaya hai ya fir Paise kamane ke liye banaya hai ya fir ho sakta hai dono karan ho. Me phele bata chuka hu kaise bidvertiser ke ads laga kar ham income kar sakte hai apne blog me. Blog me ham Infolinks se bhi paise kama sakte hai.
Infolinks phela ad network hai jo text ads ke concapt par kaam karta hai. isme koi banner ads lagane ki jarurat nahi iske ads hamari post me jo sabd hai unhi ko link me badal deti hai. Isse Hamare Visitor ko bhi koi dikkat nahi hoti or hamari income bhi achi hoti hai agar koi link par click karta hai to. Infolink ke baare me aapko batane se phele mene isko tri kiya or muje inka concept badiya laga.


Infolinks ek ad network hai jo 2007 me suru huaa tha. jo text adverting karte the par baad me inhone or bhi bhut si chije apne ads network me add ki jisse income ko or bhi badaya ja sake, jese intag, infold or inframe. Me aapko sabke baare me bataoga. Infolinks design aese kiya gaya tha ki site par koi extra jagha bhi naa use ho or visitor ko koi dikkat bhi naa ho site ko chalane me.
To ab aapke Dimag me kyi sabal aa rahe hoge, Chaliye uske jabab ka pata karte hai.
Infolinks Kaam kaise karti hai
Infolinks jitna bhi text hota hai usme hi apne ads ki link ko daalti hai, Chalo dekhte hai kaise kaam karti hai
1. Sabse phele koi Advertiser infolinks ke pass jata hai or usko paise deta hai apne sabdo ka ads karne ke liye
2. Fir Publisher(Yani ham) Infolink ke account se code le kar apne blog par lagata hai, uske baad InfoLinks hamare pure blog ko scan karti hai or unke pass jitne bhi ads ke sabd hote hai jo hamare blog par hai unko link me badal deti hai
3. Jab koi Visitor hamare blog par aata hai or us link par click karta hai to hamari income hoti hai.
Infolinks jo ads dikhati hai bo ussi parkar hote hai jesa visitor chata hai. matlab bo hamari site par aane ke phele jis bhi site par gaya tha ussi se related ads aate hai. ya fir jesa wo search karke hamari site par aata hai us sabd se sambandit. jisse click karne ke chances bad jate hai.
Kitne Type ke Ads hai Infolinks ke
Infolinks ke 5 trha ke ads hai – Intext , Infold ,
Intag , Inframe or Inscreen . Niche Detail me diya hai sabka.
1: Infolinks Intext Ads
Is Type ke Ads Apni Blog ki Post ke Text ko Ads link me Badal dete hai.. Tik se samajne ke liye maan lijiye aap kisi Sports ki site par kuch pad rahe hai, to jitne bhi aese sabd hoge jinpar koi ads hai wo link me badal jayege, or jab aap un link par click karoge to ek chota Popup khulega us sabd se sambandit.. jesa aapko image me dikh raha hoga.. basketball ka ads aa raha hai.

Intag ads me aapki site ko scan karke usse sambandit ads ki like ki list aa jati hai, Agar koi visitor inpar bhi mouse lejata hai to uska ads popup hota hai.. ham isko apne hiosab se set bhi kar sakte hai, ki ek link dikhani hai ya do link ads ki.


Ye jo ads hai wo hamari site ki faltu ka jo space hai bha aate hai, Site ke dono side. Is ads me bhi site se sambandit ads hi aate hai to click karne ke chance bad jate hai. Image me aap dekh sakte ho.
is type ke ads me link me hi ads aate hai, isko chalu karne par link ke ads popup karke bhi khulte hai jisse click karne ke chance or jada bad jate hai intext ke mukable.

To ab aap ye jaan chuke ko Infolinks kya hai or ye kaise kaam karta hai or kitne prakar ke ads hai isme.
Infolinks Payment dene ka tarike
Infolink Payment option me hame ye option milte hai.
Paypal – $50 ( Paypal Account banaye )
eCheck – $50
ACH (Only for U.S. Bank Accounts)- $50
Payoneer – $50
Bank Wire Transfer – $100
Western Union – $100
jo aapki payment hai agar wo limit cross karti hai to uske 45 din baad paise aapke pass aayege, jis bhi option ko aap select karte ho usme.
Infolinks Payment Proof
bese muje isko batane ki koi jarurat nahi hai par fir bhi me bata deta hu, taki aapko yakin ho jaye ki mene isko use kiya hai or isse meri income


me janta hu, bhut log soch rahe hoge ye to bhut kam hai, iske karan hai mere blog par bhut kam traffic tha.
Infolinks ke Faide or Nuksan
Jese aap jante hoge agar kisi chij ka koi faida hota hai to nuksan bhi hota hai. jese ek sikke ke do phelu hote hai ussi prakar. to chaliye ye bhi jaan lete hai kya faide hai or kya nuksan Infolinks ke.
Infolinks ke Faide
Account Banana bhut aasan, Facebook or Google se bhi login kar sakte hai.
Site ka jo navigation hai bhut aasan hai, aasani se use kar sakte hai.
Site Approve hone me 2-3 hin hi lagte hai.
Site par agar 10-15 badiya post hai to aasani se approve ho jata hai, isse koi fark nahi padta aapne site par kis prakar ki chije dali hai. (Adsense ki sarte bhi pade )
Subdomain bhi use kar sakte hai, jese
xyz.blogspot.com or xyz.wordpress.com
Pura control hamare haath me hota hai kis prakar ke ads dikhana hai apni site par.
Ham ads ka color or uska size bhi badal sakte hai, jisse hamari site par wo achi se dikhe.
Sirf ek baar code add karna padta hai.. bar bar code ko add karne ki koi janjat nahi.
Infolinks jo visitor search karke hamari site par aata hai wo ho ads dikhati hai.
128 county se jada advertiser hai unko, matlab ads ke option bhi jata hai.
iska eCPM abhi badiya hai.
Inke Payment karne ke liye bhi bhut option hai, ham hamari subhida ke hisab se apne paise le sakte hai.
$50 le sakte hai minimum adsense se compare kare to badiya hai.. adsense ki minimum 100$ hona chaiye.
Agar koi dikkat aati hai to iski support team help karti hai.
Infolinks ke Nuksan
bhut se Intext ads aa jate hai, jo hamare kuch visitor ko sayad pasand naa aaye.
Infold or Inframe ads disturb kar sakte hai visitor ko.
Earning kam ho sakti hai kuch country me, India bhi unme se ek hai, par aesa sirf iske sath nahi hai.. kisi bhi ads network me earning kam hi hoti hai India me.
jo hamari daily ki earning hoti hai usme ham sirf ye dekh sakte hai kitni earning huii.. kitne click huee ye nahi dekh sakte.
Ab aap InfoLinks ke bare me sab kuch jaan chuke ho –
Infolinks kya hai
ye kaise kaam karta hai
kitni trha ke ads hai
kaise payment karta hai
kya faide or kya nuksan hai infolinks ke
Agar ab aapne diside kar liya hai to aapko account banana hai Infolink par to Button par click karke account banaye.
CREATE INFOLINKS ACCOUNT
Agar aapko Account banane me koi paserani ho rahi hai to thoda wait kare.. Agli post me ham dekhege kaise Infolinks par acount banaye or usko kaise apne Blog me Add kare puri detail ke sath..
Aapko ye Detail me jaankari kaise lagi Comment karke jarur bataye ..

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx