Search

Blogger Se Attribution Kaise Remove Kare

Friends hum apne Blogger blog ko ek Website ki tarah design karne ke liye Blogger me naya
Template use karte hai lekin aksar humare blog me Attribution yani ki Powered By Blogger Remove hi nahi hota. Iska karan yah hota hai ki vo Widget lock hota hai jiski vajah se use hum Layout me jakar Remove nahi kar pate.
Isliye is post me hum janege ki Attribution(Powered By Blogger) Ko kaise Remove kiya ja sakta hai Blogger se. Jisse ki humara Blog ek Website ki tarah lage.





Blogger Se Attribution Kaise Remove Kare –
Jab aap Layout me jakar Attribution ko
Remove karna chahte hai to aap dekhte hai ki vahan par Edit ka koi Option hi nahi aata hai jisse ki aap use Remove kar sake.



Iska matlab yah hai ki abhi vo Widget locked hai ise apko unlock karna padega. Unlock karne ke liye niche diye Steps ko follow kare.
Must Read → Blogger Me Facebook Like/Fan Box Kaise Add Kare
#Step 1. Sabse pahle Template pe jakar
Template ko Edit kare.




#Step 2. Jaisa Screenshote me darsaya gaya hai vaisa hi kare.



1. Ctrl + F daba kar Attribution search kare.
2. Jahan locked=”true” kiya hua hai uski jagah “false” likhe.
3. Last me Save Template kare.
Also Read → Blogger Template Editor Me Menu Set Kaise Kare
#Step 3. Ab jab aap Layout me jayenge to Attribution me Edit ka Option dikh raha hoga us par Click kare.



#Step 4. Ab jo Popup Window khulega usme
Remove Botton par click kar ke Attribution ko
Remove kar de.



Friends ab aap jan chuke hai ki Blogger se
Attribution kaise Remove kiya jata hai. Agar apke man me koi duvidha ho is Post ko lekar to aap Comments ke madhyam se mujhse puch sakte hai. Aur last me ye jarur kahunga ki agar ye Post apko achha laga to ise Share karna na bhule… Thank You!

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx