Search

Android Mea New Custom ROM File kaise Install karte hai

How to install new Custom ROM file – Custom ROM Kya hai or Iska use kya hai?  Android ke liye Custom ROM bahut important hai. Yadi aap apne phone me stock ROM use karna chahte hai. Aur battery improve, performance better karna chahte hai toh Custom ROM install karke kar sakte hai.
Android phone ka sabse adhik popular hone ki wajah iska customization features hai. Android Device ke liye bahut se custom ROM available hai. Aap kisi bhi custom ROM ko select karke install kar sakte hai. Leki XDA forum pe jakar apne device ke bare me sure jarur ho jaye.
Custom ROM se hum android phone me sab kuch customize kar sakte hai. Phone ke icons, fonts and launcher bhi change kar sakte hai. Koi bhi iPhone user apne phone me Android OS ko use nahi kar sakta hai lekin Android user apne device meiPhone iOS ko use kar sakte hai. Islye android best OS hai. Mere Liye cyanogen and miui best Custom ROM hai.

Android Mea Custom ROM Kyun Install Karte hai.

Root karne se phone ka features badhta hai.Android phone ko bina computer ke kaise root kare. Kuch years pahle root karne ke liye bhi custom ROM file ki jarurat hoti thi. Top Rooted Apps for android. Aap apne device ke liye sahi custom ROM chahte hai toh XDA website pe jaye.

Custom ROM kaise install karte hai.

Agar aap custom ROM install karne bare me nahi jante hai. Toh chinta nahi kare, mai apko step by step screenshot ke sath batunga kaise custom ROM install kiya jata hai. Custom ROM install karne ke liye kuch requirements hai, usye complete kare.

Android Mea Custom ROM install karne ke kya Requirements hai

  • Unlock Bootloader– Agar apke phone ka bootloader lock hai, toh sabse pahle isye unlock kare. XDA Forum pe jakar apne device ke bootloader unlock karne ke bare me read kare. Kuch phones me bootloader pahle se unlock rahta hai. Bina bootloader unlock kiye custom files install nahi kar sakte hai.
  • Custom Recovery Installed – Device me custom recovery install hona chahye. Bina custom recovery ke flash nahi kar sakte hai. Custom Recovery karne ke liye phir se XDA ke website pe jakar apne device ke liye sahi custom recovery dhunde. Best Custom Recovery TWRP and CWM hai.
  • Flash Custom ROM karne ke liye phone ka root hona jaruri nahi hai.




Custom ROM Flash karne se pahle kuch jaruri Important topic

  • Android ko flash custom ROM karna thora mushkil aur risky work hai. Islye apne stock ROM ka backup karke jaruri rakhe. Agar kuch bhi problem ho toh aap phir se purane ROM ko use kar sakte hai.
  • Custom ROM install karne se pahle phone ko Full Charge kare. Kyunki is process me thora time bhi lag sakta hai, Agar phone bich me discharge ho gaya toh problem ho sakta hai.
  • Flash custom ROM ke baad apne sabhi apps and data kho denge. Agar apka phone rooted hai toh Titanium Backup download karke sabhi apps and data ka backup bana sakte hai.
  • Agar aap apne device me custom ROM install karna chhate hai toh, pahle ye baat jan le ki sabhi device ke liye alag alag Custom ROM hota hai. Google pe search karke apne device ke liye right custom ROM install kare.

Kaise Android Mea Flash Custom ROM karte hai

Step 1. Device ka right Custom ROM Install kare.
  • Sabse pahle XDA website pe jakar android device ka exact custom ROM install kare.
  • Phir SD card ke Root me Custom ROM file ko move kare. Custom ROM Zip file format me hota hai.
Step 2. Recover Mode me jaye.
  • Phone ko switch off kare. Phir Volume Up + Power button press karke kuch seconds ke liye hold rakhe. Kuch phones me Volume Down + Power button hold karne se Recovery mode open hota hai. Sabhi phone me different tarike se recovery mode me jate hai. Agar apko pata nahi hai toh Google pe search karke jane. WaiseQuick Reboot apps se bhi Recovery Mode hota hai.
  • New ROM ko flash karne se pahle factory reset jarur kare. Jab aap Recovery mode me jayenge toh Wipe ka option dikhega. Wipe option jaye. Phir Swipe karne se factory reset ho jayega.
flash custom rom by twrp gyanbook
Go to Wipe Option 
Step 3 . Install Custom ROM File
  • Ab Recovery mode ke home screen pe jaye. Install button pe press kare.
flash custom rom by twrp gyanbook
Go to Install option 
  • Apke phone ke screen pe file manager dikhega. Jis Custom ROM Zip file ko apne download kiya tha, uspe press kare.
flash custom rom by twrp gyanbook
Flash Custom ROM zip file @
  • Zip file select karne ke baad apse Flash Custom ROM ko confirm karne bola jayega. Custom ROM flash karne ke liye swipe kare.
flash custom rom by twrp gyanbook
swipe to confirm flash custom rom 
  • Flashing Process me 5 – 15 minutes ka time lagta hai. Islye thora wait kare.
Step 4 . Clear Cache
  • Flashing process complete hone ke baad wipe cache and dalvik cache ka option dikhega.  Ispe press karne se phone ka cache delete ho jayega.
flash custom rom by twrp gyanbook
wipe cache
  • Boom!!!! Apka phone me Custom ROM install ho chuka hai. Fist time Reboot hone me approx 15 minutes ka time lagta hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

Thnx